Tere liye main Kaafi hoon Lyrics The song Husn sung by Anuv Jain has music production by Angad Bahra and PUNA, recorded, mixed, and mastered by Angad Bahra at Uneven Studios, Dolby mix by Mukul Jain at Ferris Wheel Studios, and acoustic guitars by Harsimran Singh Bhatia.
Dekho Dekho
Kaisi baatein yahan ki
Hain saath par
Hain saath na bhi
Kya itni aasaan hain?
Dekho Dekho, Jaise mere iraaday
Waise kahaan, Tere yahan the
Haan kitni naadan main
Mere husn ke ilawa
Kabhi dil bhi maang lo na
Haye pal mein, Main pighal jaun haan
Ab aisa na karo
Ke dil judna paye wapis
Teri baaton
Se bikhar jaun haan
Mana zamana hai deewana
Isilye tune na jana
Tere liye main, Kaafi hoon
Dekho Dekho
Yeh zamane se thak kar
Atey ho kyun masoom ban kar?
Tere liye main, Kya hi hoon?
Phir aatey kyun yahan
Karne aankhon mein
Ho baarish?
Ab aye, Toh theher jao na
Aur poocho na zara
Mere din ke bare mein bhi
Bas itne mein
Sambhal jaun haan
Haan ek din, Kabhi koi
Jab bhi padhe, Kahani teri
Lagta mujhe, Mere naam ka
Zikr kahin, Bhi hoga nahin
Haan, Main yahin
Meri yeh aankhon mein
Aankhon mein toh dekho
Dekho yeh dil ka haal kya,
Hothon se hota na bayan
Meri yeh aankhon mein
Aankhon mein toh dekho
Kaisa naseeb hai mera
Milke bhi na mujhe mila
Meri yeh aankhon mein
Aankhon mein toh dekho
Teri adhuri si wafa
Maangu main maangu aur na
Meri yeh aankhon mein
Aankhon mein toh dekho
Dekho Dekho
Kaisi kheenchi lakeerein
Chahe bhi dil toh bhi na jeete
Main iss daud mein nahin
Dekho Dekho
Kaisi baatein yahan ki
Baatein yahi dekhoon jahan bhi
Main is daur se nahin
Tags
Pop Songs